har nae chehre se paida ek naya chehra hua
taq-e-nisyan par hai koi aaina rakkha hua
be-wasila is jahan mein maut bhi mumkin nahin
hila-e-dar-o-rasan bhi hai mera samjha hua
zaKHm gahre kar rahi hai har nae misre ki kaT
sher kahne se bhi dil ka bojh kab halka hua
zindagi kya jaane kyun mahsus hota hai mujhe
tujh se pahle bhi ho jaise zahr ye chakkha hua
huk si uThti hai 'sahba' aasman ko dekh kar
gar main shoala hun to phir kyun KHak se paida hua

Ghazal
Har nae chehre se paida ek naya chehra hua
Sahba Akhtar