har mushkil aasan banane wala tha
main patthar ke pan banane wala tha
KHwabon ki tawil samajh se bahar thi
jab main pakistan banane wala tha
haq bahu haq bahu kah kar ek faqir
bahu ko sultan banane wala tha
mujh aisa bahlol kahan se laoge
nar se jo naran banane wala tha
shahzadi ne jis ki KHatir zahr piya
ek dehati nan banane wala tha
aap ne mera hath na thama hota to
main KHud ko shaitan banane wala tha
darwazon ki sakh bachane ki KHatir
diwaron ke kan banane wala tha
aap ki ek ek baat ghazal mein Dhaal ke main
aan ki aan mein tan banane wala tha

Ghazal
Har mushkil aasan banane wala tha
Iftikhar Falak Kazmi