har moD ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho
bite hue dinon ko ghubar-e-safar kaho
KHun-gashta aarzu ko kaho sham-e-mai-kada
dil ki jarahaton ko chaman ki sahar kaho
har rahguzar pe karta hun zanjir ka qayas
chaho to tum use bhi junun ka asar kaho
meri mata-e-dard yahi zindagi to hai
na-mo'tabar kaho ki use mo'atabar kaho
ye bhi uruj-e-rang ka ek moajiza sahi
phulon ki tazgi ko farogh-e-sharar kaho
danish-waran-e-haal ka 'taban' hai mashwara
har manzar-e-jahan ko fareb-e-nazar kaho
Ghazal
Har moD ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho
Taban Ghulam Rabbani