har mausam mein KHali-pan ki majburi ho jaoge
itna us ko yaad kiya to patthar bhi ho jaoge
hanste bhi ho rote bhi ho aaj talak to aisa hai
jab ye mausam sath na denge taswiri ho jaoge
har aane jaane wale se ghar ka rasta puchhte ho
KHud ko dhoka dete dete be-ghar bhi ho jaoge
jina marna kya hota hai hum to us din puchhenge
jis din miTTi ke hathon ki tum mehndi ho jaoge
chhoTi chhoTi baaton ko bhi itna saja kar likhte ho
aise hi tahrir rahi to bazari ho jaoge

Ghazal
Har mausam mein Khaali-pan ki majburi ho jaoge
Rauf Raza