har masarrat se kinara kar liya
hum ne tera gham gawara kar liya
chhaT gai kuchh sham-e-gham ki tirgi
ashk jo ubhra sitara kar liya
aankh khulti hi nahin hai jis tarah
un ka sote mein nazara kar liya
lutf farmaya nigah-e-naz ne
apne bas mein dil hamara kar liya
ai mere gham-KHwar tera shukriya
main ne apne gham ka chaara kar liya
shab ki tanhai se phir ghabra gae
phir yaqin hum ne tumhaara kar liya
sar pe tufan ne uThaya hai use
jis ne sahil se kinara kar liya
dushmani mein jhuk gai us ki kamar
aasman ne kya hamara kar liya
bin sahaare Dubna mushkil tha 'soz'
na-KHudaon ko sahaara kar liya
Ghazal
Har masarrat se kinara kar liya
Abdul Malik Soz