har marhale se yun to guzar jaegi ye sham
le kar bala-e-dard kidhar jaegi ye sham
phailengi chaar samt sunahri udasiyan
Takra ke koh-e-shab se bikhar jaegi ye sham
rag rag mein phail jaega tanhaiyon ka zahr
chupke se mere dil mein utar jaegi ye sham
TuTa yaqin zaKHmi umiden siyah KHwab
kya le ke aaj su-e-sahar jaegi ye sham
Thahregi ek lamhe ko ye gardish-e-hayat
tham jaegi ye subh Thahar jaegi ye sham
KHunin bahut hain mamlikat-e-shab ki sarhaden
hathon mein le ke kasa-e-sar jaegi ye sham
mahkega lafz lafz se shahid dayar-e-subh
le kar meri ghazal ka asar jaegi ye sham
Ghazal
Har marhale se yun to guzar jaegi ye sham
Shahid Mahuli