har marhala-e-shauq se lahra ke guzar ja
aasar-e-talatum hon to bal kha ke guzar ja
bahki hui maKHmur ghaTaon ki sada sun
firdaus ki tadbir ko bahla ke guzar ja
mayus hain ehsas se uljhi hui rahen
pael dil-e-majbur ki chhanka ke guzar ja
yazdan o ahrman ki hikayat ke badle
insan ki riwayat ko dohra ke guzar ja
kahti hain tujhe mai-kada-e-waqt ki rahen
bigDi hui taqdir ko suljha ke guzar ja
bujhti hi nahin tishnagi-e-dil kisi surat
ai abr-e-karam aag hi barsa ke guzar ja
kanTe jo lagen hath to kuchh gham nahin 'saghar'
kaliyon ko har ek gam pe bikhra ke guzar ja
Ghazal
Har marhala-e-shauq se lahra ke guzar ja
Saghar Siddiqui