har manzar-e-KHush-rang sulag jae to kya ho
shabnam bhi agar aag hi barsae to kya ho
ehsas ki qindil se azhan hain raushan
lekin ye ujala bhi jo kajlae to kya ho
suraj ki tamazat se jhulas jati hai duniya
suraj mere qadmon pe utar aae to kya ho
zar-tabi-e-afkar to pahle hi se hai mand
alfaz ka aaina bhi dhundlae to kya ho
main jab bhi likhun waqt ke KHun-rez fasane
hathon main qalam chhuT ke rah jae to kya ho
be-KHwab nigahon ke ufaq par jo aachanak
dhundla sa koi chand ubhar aae to kya ho
Ghazal
Har manzar-e-KHush-rang sulag jae to kya ho
Anwar Minai