har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai
gardish mein jab sanson ka paimana hota hai
hum ko to bas aata hai sanson ka karobar
kya khona hota hai aur kya pana hota hai
dil ki zid par us se milna paDta hai har roz
aur phir sari duniya ko samjhana paDta hai
aankhen bhar aati hain meri hans lene ke baad
shahar se aage akasr virana paDta hai
ghar mein KHwahish hoti hai sahraon ko jaen
phir kuchh soch ke raste mein ruk jaana hota hai
roz koi pahna deta hai KHwabon ki pazeb
aur phir nach ke duniya ko dikhlana hota hai
kho dena hota hai KHud ko din hone ke sath
sham Dhale tak phir se KHud ko pana hota hai
pahle sabit hota hai us se malne ka jurm
aur phir mujh pe yaadon ka jurmana hota hai
Ghazal
Har lamhe main sadiyon ka afsana hota hai
Sarfraz Khalid