har lamha zindagi ke pasine se tang hun
main bhi kisi qamiz ke collar ka rang hun
mohara siyasaton ka mera nam aadmi
mera wajud kya hai KHalaon ki jang hun
rishte guzar rahe hain liye din mein battiyan
main aadhunik sadi ki andheri surang hun
nikla hun ek naddi sa samundar ko DhunDhne
kuchh dur kashtiyon ke abhi sang-sang hun
manjha koi yaqin ke qabil nahin raha
tanhaiyon ke peD se aTki patang hun
ye kis ka dastaKHat hai batae koi mujhe
main apna nam likh ke anguThe sa dang hun
Ghazal
Har lamha zindagi ke pasine se tang hun
Suryabhanu Gupt