har lamha tha sau sal ka Talta bhi to kaise
le aai shab-e-gham koi marta bhi to kaise
ek aag thi jo phunk rahi thi do-jahan ko
wo dil se mere ho ke guzarta bhi to kaise
hum pyas ke maron ne abas aas lagai
barsa hua baadal tha barasta bhi to kaise
gulchin ki nazar tak mein rahti thi barabar
ghuncha koi khilta bhi mahakta bhi to kaise
tinke ki rukawaT bhi na thi ghaar ki tah mein
phir phaila hua panw sambhalta bhi to kaise
saya na koi naqsh-e-qadam kucha na bazar
sahra ke safar mein tha bhaTakta bhi to kaise
sine mein koi shoala na nazron mein kahin barq
'shohrat' bhala dil mera bahalta bhi to kaise

Ghazal
Har lamha tha sau sal ka Talta bhi to kaise
Shohrat Bukhari