اردو हिंदी
Har lamha sairabi ki arzani hai | Shaahi Shayari
har lamha sairabi ki arzani hai

Ghazal

Har lamha sairabi ki arzani hai

Ambar Bahraichi

;

har lamha sairabi ki arzani hai
miTTi ke kuze mein ThanDa pani hai

chupke chupke rota hai tanhai mein
wo jo shahr ke har mele ka bani hai

nadi kinare shahr panahen baalon ki
sawan ki bauchhaaren hain tughyani hai

bahar dhup samundar surKH bagule bhi
andar har KHuliye mein rut barfani hai

us ne har zarre ko tilism-abaad kiya
hath hamare lagi faqat hairani hai

mere dasht ko shayad us ne dekh liya
dhup shabnami har-su manzar dhani hai

jaane kya barsa tha raat charaghon se
bhor samay suraj bhi pani pani hai

us ne har lamha KHud ko yun ram kiya
har paikar mein us ki ram-kahani hai

kachcha ghar aata hai yaad bahut 'amabar'
kahne ko shahron mein har aasani hai