har lamha nam-dida rahne ki aadat
le Dubi ranjida rahne ki aadat
ab apna chehra begana lagta hai
hum ko thi sanjida rahne ki aadat
aaKHir hum ko be-zari tak le aai
har shai par girwida rahne ki aadat
rafta rafta uryani tak aa pahunche
jin ko thi poshida rahne ki aadat
dikh jate hain yun hi kuchh rangin manzar
achchhi hai KHwabida rahne ki aadat
hum hami hain sidhi-sadi baaton ke
aur us ko pechida rahne ki aadat
aaKHir-kar waraq ke chithDe kar degi
har mausam bosida rahne ki aadat
Ghazal
Har lamha nam-dida rahne ki aadat
Manish Shukla