har lamha marg-o-zist mein paikar dekhna
khinchi hui hai waqt ne talwar dekhna
is dopahar ki dhup mein saya kahan mile
din Dhal chale to phir kahin diwar dekhna
ab to safar ke saKHt marahil hain aur hum
jab pas aae manzil-e-dildar dekhna
be-tabiyan hon lakh magar us ke ru-ba-ru
chhoDen na hath daman-e-pindar dekhna
ai maslahat ki past zaminon ke basiyo
kitni bulandiyan hain sar-e-dar dekhna
zarra bhi aaftab se kamtar nahin yahan
yaro magar ba-dida-e-bedar dekhna
'jawed' hum hain aur hai ehsas ka KHulus
yaron ke pas jhuT ke tumar dekhna
Ghazal
Har lamha marg-o-zist mein paikar dekhna
Abdullah Javed