اردو हिंदी
Har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs | Shaahi Shayari
har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs

Ghazal

Har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs

Akhtar Ansari Akbarabadi

;

har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs
aankhon mein liye baiTha hai mai-KHana sa ek shaKHs

aur is ke siwa anjuman-e-naz mein kya hai
hai shama sa ek shaKHs to parwana sa ek shaKHs

KHamosh nigahon mein qayamat ka asar tha
guzra hai sunata hua afsana sa ek shaKHs

ek husn-e-mukammal hai to ek ishq-sarapa
hoshyar sa ek shaKHs hai diwana sa ek shaKHs

hum jalwa-e-asnam se bezar hain lekin
milta hai wahan ruh-e-sanam-KHana sa ek shaKHs