اردو हिंदी
Har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai | Shaahi Shayari
har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai

Ghazal

Har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai

Yusuf Taqi

;

har lahza meri zist mujhe bar-e-garan hai
wo mera lahu hai ki mera dushman-e-jaan hai

is daur mein jine ki saza kaT raha hun
har sans ki raftar mein ehsas-e-ziyan hai

uD jate hain shaKHon se sahar hote hi tair
bas rain-basera hai yahan jo bhi makan hai

donon hi junun-KHezi ke tufan mein giraftar
tahzib-e-ibaadat na yahan hai na wahan hai

rishte sabhi zanjir-e-zarurat se juDe the
ab kaun ye puchhe ki 'taqi' hai to kahan hai