har koi us ka KHaridar hua chahta hai
garm phir husn ka bazar hua chahta hai
dekh lena gham-e-mashuq mein kuDhte kuDhte
kuchh na kuchh ab mujhe aazar hua chahta hai
aankh lalchai hui paDti hai jis par meri
ishq us par mera izhaar hua chahta hai
kah do us parda-nashin se teri KHatir koi
aaj ruswa sar-e-bazar hua chahta hai
pan kha kha ke lab-e-baam pe wo aane laga
KHun hamara pas-e-diwar hua chahta hai
kucha-e-yar mein jata hai abas tu 'ghafil'
kyun musibat mein giraftar hua chahta hai
Ghazal
Har koi us ka KHaridar hua chahta hai
Munawar Khan Ghafil