har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai
kya tamasha hai ki har shaKHs KHuda lagta hai
main ne hijrat ke bayaban mein riyazat ki hai
ab ye jangal mujhe firdaus-numa lagta hai
dida-e-shoKH mein dekha hai utar kar main ne
husn pindar hai parde mein bhala lagta hai
jab tere gham se nikalne ki na surat nikle
tera wahshi kisi diwar se ja lagta hai
is ko sarkar ke bose ka sharaf hasil hai
warna kala sa ye patthar mera kya lagta hai
ab bhi jata hun kaTe peD ka saya lene
muddaton se jo bhala tha so bhala lagta hai
Ghazal
Har koi shahr mein paband-e-ana lagta hai
Nadir Siddiqui