har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe 
kis ko sairab kare wo kise pyasa rakkhe 
umr bhar kaun nibhata hai talluq itna 
ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe 
hum ko achchha nahin lagta koi hamnam tera 
koi tujh sa ho to phir nam bhi tujh sa rakkhe 
dil bhi pagal hai ki us shaKHs se wabasta hai 
jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe 
kam nahin tama-e-ibaadat bhi to hirs-e-zar se 
faqr to wo hai ki jo din na duniya rakkhe 
hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par 
ja KHuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe 
ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai 'faraaz' 
hum to raazi hain wo jis haal mein jaisa rakkhe
 
        Ghazal
Har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe
Ahmad Faraz

