har kisi kun guzar-e-ishq mein aanan mushkil
rah sidhi hai wale rah kun panan mushkil
kis tarah kijiye fikr-e-sharar-afshani-e-ashk
jab ki pani mein lagi aag bujhanan mushkil
KHub lagti hai tere chira-e-nukdar ki saj
jis tarah dil mein chubhi hai so batanan mushkil
phul mere kun agar phul kahun bhule sin
phul kun phul ke phulon mein samanan mushkil
aatishin-ru sin nihan kyunki rakhun soz-e-jigar
jaan jata hai 'siraj' ab to chhupanan mushkil
Ghazal
Har kisi kun guzar-e-ishq mein aanan mushkil
Siraj Aurangabadi

