har kisi KHwab ke chehre pe likhun nam tera
main use apna hunar samjhun ki inam tera
titliyan phul mein kya DhunDhti rahti hain sada
kya kahen baad-e-saba rakh gai paigham tera
jis tarah rang-e-shafaq jhil mein ghul jata hai
aks-e-lab aise utarta hai tah-e-jam tera
raat aaegi to dikhlaega kuchh aur hi rang
wo jo din bhar to paraya laga aur sham tera
faqat is soch mein hath uThte nahin waqt-e-dua
main bhala kis tarah samjhaun tujhe kaam tera
taqche gosha-e-dil fikr-o-amal chhan chuke
kisi haalat mein bhi milta nahin islam tera
shama bujhti hai to duniya mein sahar hoti hai
ai suKHan-war tera aaghaz hai anjam tera
Ghazal
Har kisi KHwab ke chehre pe likhun nam tera
Shahnawaz Zaidi