har KHwab ke makan ko mismar kar diya hai
behtar dinon ka aana dushwar kar diya hai
wo dasht ho ki basti saya sukut ka hai
jadu-asar suKHan ko bekar kar diya hai
gird-o-nawah-e-dil mein KHauf-o-hiras itna
pahle kabhi nahin tha is bar kar diya hai
kal aur sath sab ke is par hum khaDe the
ek pal mein hum ko kis ne us par kar diya hai
pa-e-junun pe kaisi uftad aa paDi hai
agli masafaton se inkar kar diya hai
Ghazal
Har KHwab ke makan ko mismar kar diya hai
Shahryar