har KHushi tere nam ki main ne
war di tujh pe zindagi main ne
ek piyaade ne mat shah ko di
chaal aisi bhi ek chali main ne
waqt bhi muKHtasar tha us ke pas
baat bhi muKHtasar si ki main ne
jo KHulus-o-wafa ke paikar hain
kam hi dekhe hain aadmi main ne
aankh ne jab kabhi baghawat ki
teri taswir dekh li main ne
kash puchhe kabhi mujhe aa kar
chhoD di kyun teri gali main ne
subh-zau roz puchhti hai mujhe
kis tarah shab guzar di main ne
mujh ko sarwat ki yaad aai hai
rail dekhi hai jab kabhi main ne
ab meri lash se sawal karo
kis tarah ki hai KHud-kushi main ne
meri chaukhaT pe gham chala aaya
saunp di us ko har KHushi main ne
wasl ko KHud pe oDh ke 'ansar'
hijr ki dastan likhi main ne

Ghazal
Har KHushi tere nam ki maine
Rashid Qayyum Ansar