har KHata us ki hamesha darguzar karti hui
faslon ko dil ki chahat muKHtasar karti hui
zehn-o-dil ki raushni ko tez-tar karti hui
guftugu sidhe teri dil par asar karti hui
mere jazbon ke fusun mein qaid wo hota hua
us ke lahje ki khanak mujh par asar karti hui
zindagi ki tez-gami aur daulat ki hawas
aane wale kal se hum ko be-KHabar karti hui
hausla deta hua sa mujh ko mera e'timad
be-yaqini dil mein paida Dar pe Dar karti hui
bhola-pan aur sadgi par us ki main miTta hua
ek surat mohni si dil mein ghar karti hui
kis ko ye malum ai 'nayab' nisbat kis ki hai
mere har naqsh-e-qadam ko mo'atabar karti hui
Ghazal
Har KHata uski hamesha darguzar karti hui
Jahangeer nayab