اردو हिंदी
Har Khaar inayat tha har ek sang sila tha | Shaahi Shayari
har Khaar inayat tha har ek sang sila tha

Ghazal

Har Khaar inayat tha har ek sang sila tha

Zehra Nigaah

;

har KHar inayat tha har ek sang sila tha
is rah mein har zaKHm hamein rah-numa tha

kyun ghir ke ab aae hain ye baadal ye ghaTaen
hum ne to tujhe der hui yaad kiya tha

ai shishagaro kuchh to karo aaina-KHana
rangon se KHafa ruKH se juda yun na hua tha

in aankhon se kyun subh ka suraj hai gurezan
jin aankhon ne raaton mein sitaron ko chuna tha