har kaDe waqt pe aaina dikhaya hai mujhe
zindagi tu ne baDe pyar se barta hai mujhe
baDh ke chume hain gham-e-ishq ne bhi mere qadam
gham-e-dauran ne bhi aankhon pe biThaya hai mujhe
rah-e-pur-pech pe hai zulf-e-rasa ka dhoka
dasht-e-aghosh-e-tamanna nazar aaya hai mujhe
apne gham-KHwar ke ashkon ko taka karta hun
gardish-e-waqt ne palkon pe sajaya hai mujhe
ab kisi dard ka shikwa na kisi gham ka gila
meri hasti ne baDi der mein paya hai mujhe
main gham-e-dahr ki chadar mein chhupa baiTha tha
raat bhar aa ke teri yaad ne DhunDa hai mujhe
Ghazal
Har kaDe waqt pe aaina dikhaya hai mujhe
Moghisuddin Fareedi