har jaanib virani bhi ho sakti hai
subh ki rangat dhani bhi ho sakti hai
jab kashti Dali thi kis ne socha tha
dariya mein tughyani bhi ho sakti hai
nae safar ke nae azab aur nae gulab
surat-e-haal purani bhi ho sakti hai
har-pal jo dil ko dahlae rakhti hai
kuchh bhi nahin hairani bhi ho sakti hai
safar irada kar to liya par raston mein
raat koi tufani bhi ho sakti hai
us ko mere nam se nisbat hai lekin
baat ye aani-jaani bhi ho sakti hai
Ghazal
Har jaanib virani bhi ho sakti hai
Noshi Gilani