har irada muzmahil har faisla kamzor tha
dur rah kar tum se apna haal hi kuchh aur tha
apne hi andar kahin simTa hua baiTha tha main
ghar ke bahar jab garajte baadalon ka shor tha
ek ishaare par kisi ke jis ne kaTe the pahaD
sochta hun bazuon mein us ke kitna zor tha?
kar liya hai us ne kyun tarik shab ka intiKHab?
muntazir us ke liye to ek sunahra daur tha!
main ne kitni bar puchha tere ghar ka rasta
zindagi ka masala jis waqt zer-e-ghaur tha
Ghazal
Har irada muzmahil har faisla kamzor tha
Shahid Meer