اردو हिंदी
Har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai | Shaahi Shayari
har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai

Ghazal

Har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai

Zafar Moradabadi

;

har intiKHab yahan mazi-o-aqab ka hai
sawal mera nahin hai mere nasab ka hai

shuur-e-lauh-o-qalam se zuhur-e-mahfil tak
har ek be-adabi par libas adab ka hai

na koi dad na tahsin sirf KHamoshi
mere suKHan pe tera tabsira ghazab ka hai

ho ek fard to ho fard-e-jurm bhi aayad
sitamgari to yahan karobar sab ka hai

uga nahin koi suraj mere muqaddar ka
dinon pe jaise musallat itab shab ka hai

tamam zahmaten mere gunah ke sae
tamam rahaten inam mere rab ka hai

zafar ghazal hai ki zaKHmon ki hashiya-bandi
na KHal-o-KHat ka koi tazkira na lab ka hai