har insan apne hone ki saza hai
bhare bazar mein tanha khaDa hai
nae darbanon ke pahre biThao
hujum-e-dard baDhta ja raha hai
rahe hum hi jo har patthar ki zad mein
hamari sar-bulandi ki KHata hai
mahakte gesuon ki raat guzri
sawa neze pe ab suraj khaDa hai
mere KHwabon ki chikni siDhiyon par
na jaane kis ka but TuTa paDa hai
wo shole hon lahu ho hadse hon
meri hi zindagi par tabsira hai
teri zulfen to hain badnam yunhi
mujhe din ke ujalon ne Dasa hai
chalo chupke se kuchh but aur rakh aaen
dar-e-kaba abhi shayad khula hai
utar kar to fasil-e-shab se dekho
sahar ne KHud-kushi kar li suna hai
abhi taq-e-tasawwur par 'naimi'
charagh-e-lazzat-e-shab jal raha hai
Ghazal
Har insan apne hone ki saza hai
Abdul Hafiz Naeemi