har inqalab ki surKHi unhin ke afsane
hayat-e-dahr ka hasil hain chand diwane
KHuda-e-har-do-jahan KHub hai teri taqsim
zamin pe dair-o-haram aur falak pe maiKHane
hamari ja bhi kahin hai KHuda-e-dair-o-haram
haram mein ghair hain aur but-kade mein begane
na puchh daur-e-haqiqat ki saKHtiyon ko na puchh
taras gae lab-e-afsana-go ko afsane
ye jabr zist-e-mohabbat pe kab talak aaKHir
ki dil salam karen aur nazar na pahchane
alag alag se ufuq par hain chhoTe chhoTe ghubar
ye karwan ko mere kya hua KHuda jaane
nizam-e-maikada saqi chalega yun kab tak
chhalak rahe hain subu aur tahi hain paimane
Ghazal
Har inqalab ki surKHi unhin ke afsane
Anand Narayan Mulla