har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue
har ek ke gunah ka kaffara hum hue
aai jo bhuri sham sulagne laga badan
bhigi jo kali raat to angara hum hue
miTTi mein mil gae to khilae gunah gul
uble to apne KHun ka fawwara hum hue
samjha tha wo ki KHak mein hum ko mila diya
paida isi zamin se dobara hum hue
har ek chobdar ne khinchi hamari khaal
har daur ke julus ka naqqara hum hue
jin ajnabi KHalaon se waqif nahin koi
'muztar' unhin KHalaon ka sayyara hum hue
Ghazal
Har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue
Muztar Haidri