اردو हिंदी
Har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai | Shaahi Shayari
har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai

Ghazal

Har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai

Ambar Kharbanda

;

har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai
is duniya mein sab kuchh jhuTa kyun lagta hai

mera dil kyun samajh na paya un baaton ko
jo waisa hota hai aisa kyun lagta hai

jo yaaden akasr taDpati hai is dil ko
un yaadon ka dil mein mela kyun lagta hai

us ko fikr wo sab se baDa kaise ho jae
main sochun wo itna chhoTa kyun lagta hai

duniyawi rishte to sachche kab the lekin
ruhon ka milna bhi jhuTa kyun lagta hai

mere hisse mein aai mai ka har qatra
us ki aankhon hi se chhalka kyun lagta hai

'amabar'-ji tum sher to kah lete ho lekin
har ek misra TuTa-phuTa kyun lagta hai