har ek ranj-o-gham se subuk-dosh ho ja
use yaad kar aur madhosh ho ja
nazar us ki chahe to nazren jhuka le
hai kuchh arz karna to KHamosh ho ja
sukun ke liye be-sukun dil ko mat kar
pareshaniyon se ham-aghosh ho ja
nikal parsai ke KHatron se bahar
tu mai-nosh hai to bala-nosh ho ja
hai tashhir ka sab se achchha ye nusKHa
achanak kisi rose ru-posh ho ja
Ghazal
Har ek ranj-o-gham se subuk-dosh ho ja
aqeel nomani