اردو हिंदी
Har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha | Shaahi Shayari
har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha

Ghazal

Har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha

Nusrat Mehdi

;

har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha
to phir use bhi hamara KHayal chahiye tha

wo rishte-naton ko rasman nibhane aaya tha
hamein dilon ka talluq bahaal chahiye tha

bulandiyon pe tawazun na rah saka qaem
yahan uruj ko thoDa zawal chahiye tha

ghazal to aap se le leti paDh bhi deti magar
mujhe adab mein bhi rizq-e-halal chahiye tha

kamal par hai ye ehsas in dinon 'nusrat'
koi hamein bhi yahan ba-kamal chahiye tha