har ek ne kaha kyun tujhe aaram na aaya
sunte rahe hum lab pe tera nam na aaya
diwane ko takti hain tere shahar ki galiyan
nikla to idhar lauT ke bad-nam na aaya
mat puchh ki hum zabt ki kis rah se guzre
ye dekh ki tujh par koi ilzam na aaya
kya jaaniye kya bit gai din ke safar mein
wo muntazir-e-sham sar-e-sham na aaya
ye tishnagiyan kal bhi thin aur aaj bhi 'zaidi'
us honT ka saya bhi mere kaam na aaya
Ghazal
Har ek ne kaha kyun tujhe aaram na aaya
Mustafa Zaidi