har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai
hamein to zindagi paiham safar malum hoti hai
wahi tanhai ka aalam wahi be-raunaqi har su
bayaban teri KHamoshi bhi ghar malum hoti hai
hamare hasidon ki chaal aaKHir rang le aai
bahut badli hui un ki nazar malum hoti hai
masiha bhul ja teri dawa kuchh kaam aaegi
ki har tadbir ab to be-asar malum hoti hai
agar do waqt ki roTi hi mil jae ghanimat hai
miyan faqe mein guThli bhi samar malum hoti hai
andheri raat mein ai jaan-e-jaan bhaTke musafir ko
diye ki lau bhi jaise ek qamar malum hoti hai
Ghazal
Har ek manzil qayam-e-rahguzar malum hoti hai
Qamar Badarpuri