har ek lamhe ki rag mein dard ka rishta dhaDakta hai
wahan tara larazta hai jo yan patta khaDakta hai
Dhake rahte hain gahre abr mein baatin ke sab manzar
kabhi ek lahza-e-idrak bijli sa kaDakta hai
mujhe diwana kar deti hai apni maut ki shoKHi
koi mujh mein rag-e-izhaar ki surat phaDakta hai
phir ek din aag lag jati hai jangal mein haqiqat ke
kahin pahle-pahal ek KHwab ka shola bhaDakta hai
meri nazren hi mere aks ko majruh karti hain
nigahen murtakiz hoti hain aur shisha taDakta hai
Ghazal
Har ek lamhe ki rag mein dard ka rishta dhaDakta hai
Abdul Ahad Saaz