har ek jawab ki tah mein sawal aaega
gae yugon ke buton ka zawal aaega
hunar ka aks bhi ho aaina bhi ban jao
phir us ke baad hi rang-e-kamal aaega
harif-e-jaan hai agar wo to phir kaho us se
gai jo jaan to dil ka sawal aaega
yaqin hai ki milega uruj hum ko bhi
yaqin hai ki tera bhi zawal aaega
abhi ummid ko mayusiyon ka rang na de
Thahar Thahar abhi us ka KHayal aaega
usi ke shah pe bujhega charagh-e-dil 'adil'
nihan KHulus mein jo ishtial aaega
Ghazal
Har ek jawab ki tah mein sawal aaega
Adil Hayat