har ek fan mein yaqinan taq hai wo
azal hi se baDa KHallaq hai wo
jise tum ne kaha tha samm-e-qatil
azizam asl mein tiryaq hai wo
use sang-e-tanaffur se na ragDo
sulag uTThega dil chaqmaq hai wo
ghurub-e-sidq ka KHadsha hai baatil
kahan minnat-kash-e-ishraq hai wo
jari ibn-e-sharafat nek laDka
qabile bhar mein lekin aaq hai wo
ba-baatin aaina hai qalb us ka
ba-zahir sarwar-e-fussaq hai wo
kahan se ehtisab-e-nafs hoga
hisab-e-dostan be-baq hai wo
muqaffal ghar khula hai ek daricha
kisi ki did ka mushtaq hai wo
jahan rakkhi hai sham-e-be-sabaati
meri diwar-e-jaan ka taq hai wo
azaem jis se paspa hon safar mein
amir us ko kahen qazzaq hai wo
hawas bhi kya koi KHasta sutun hai
daraKHt-e-narasa ki saq hai wo
banaya us ne sab ko juft 'rahi'
magar har zawiye se taq hai wo
Ghazal
Har ek fan mein yaqinan taq hai wo
Rahi Fidai