اردو हिंदी
Har har waraq pe kyun ki likhun dastan-e-hijr | Shaahi Shayari
har har waraq pe kyun ki likhun dastan-e-hijr

Ghazal

Har har waraq pe kyun ki likhun dastan-e-hijr

Siraj Aurangabadi

;

har har waraq pe kyun ki likhun dastan-e-hijr
aata nahin zaban-e-qalam par bayan-e-hijr

zahir agarche taza-o-tar misl-e-lala hun
mujh dil mein jaanashin hai dagh-e-nihan-e-hijr

pazhmurda kyun na hoe gul-e-ummid-e-ashiqan
bahti hai dil ke bagh mein baad-e-KHizan-e-hijr

aab-e-hayat wasl sin de umr-e-jawedan
hai be-qarar gham sin tere nim-jaan-e-hijr

wo aashiqi ki misl mein manzur hai mudam
chille main gham ke baiTh jo khincha kaman-e-hijr

nin sair-e-lala-zar ki aashiq kun aarzu
az-bas hai dagh-e-sina gul-e-bostan-e-hijr

jari ba-rah-e-chashm sati KHun-e-dil 'siraj'
jab sin mere jigar mein lagi hai sinan-e-hijr