har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai
ek ek lamha apne hath se jaise nikla jata hai
din Dhalne par nas nas mein jab gard si jamne lagti hai
koi aa kar mere lahu mein phir mujh ko nahlata hai
hum sab ek hi man ke beTe is dharti ke basi hain
jo bhi is miTTi se bana hai us se apna nata hai
sari sari raat jale hain jis apni tanhai mein
un ki aag se subh ka suraj apna diya jalata hai
main to ghar mein apne-ap se baaten karne baiTha tha
an-dekha sa ek chehra diwar pe ubhra aata hai
kitne sawal hain ab bhi aaise jin ka koi jawab nahin
puchhne wala puchh ke un ko apna dil bahlata hai
kis ko saza-e-maut milegi ye kaisi hai bhiD lagi
aur kya us ne jurm kiya tha koi nahin batata hai
Ghazal
Har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai
Khalilur Rahman Azmi