اردو हिंदी
Har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai | Shaahi Shayari
har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

Ghazal

Har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai

Khalilur Rahman Azmi

;

har har sans nai KHushbu ki ek aahaT si pata hai
ek ek lamha apne hath se jaise nikla jata hai

din Dhalne par nas nas mein jab gard si jamne lagti hai
koi aa kar mere lahu mein phir mujh ko nahlata hai

sari sari raat jale hain jo apni tanhai mein
un ki aag se subh ka suraj apna diya jalata hai

main to ghar mein apne-ap se baaten karne baiTha tha
an-dekha sa ek chehra diwar pe ubhra aata hai

kitne sawal hain ab bhi aise jin ka koi jawab nahin
puchhne wala puchh ke un ko apna dil bahlata hai

kis ko saza-e-maut milegi ye kaisi hai bhiD lagi
aur kya us ne jurm kiya tha koi nahin batlata hai