har haqiqat ko guman tak sochun
main bahaaron ko KHizan tak sochun
guftugu talKH haqaeq se bhi ho
KHwab hi KHwab kahan tak sochun
har qadam ek muamma ban jae
zindagi tujh ko jahan tak sochun
soch ban jati hai girdab-e-bala
ek hi baat kahan tak sochun
hadd-e-parwaz meri itni hai
la-makan ko bhi makan tak sochun
dastaras kis ki mudawa kaisa
dard ko sirf fughan tak sochun
napun jazbon ko bhi paimanon se
ashk ko aab-e-rawan tak sochun
tu nahin pas teri yaad to hai
tu hi to sujhe jahan tak sochun
Ghazal
Har haqiqat ko guman tak sochun
Khatir Ghaznavi