har haal mein raha jo tera aasra mujhe
mayus kar saka na hujum-e-bala mujhe
har naghme ne unhin ki talab ka diya payam
har saz ne unhin ki sunai sada mujhe
har baat mein unhin ki KHushi ka raha KHayal
har kaam se gharaz hai unhin ki raza mujhe
rahta hun gharq un ke tasawwur mein roz o shab
masti ka paD gaya hai kuchh aisa maza mujhe
rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat ki tohmaten
jis ka KHayal tak bhi nahin hai rawa mujhe
kafi hai un ke pa-e-hina-basta ka KHayal
hath aai KHub soz-e-jigar ki dawa mujhe
kya kahte ho ki aur laga lo kisi se dil
tum sa nazar bhi aae koi dusra mujhe
begana-e-adab kiye deti hai kya karun
us mahw-e-naz ki nigah-e-ashna mujhe
us be-nishan ke milne ki 'hasrat' hui ummid
aab-e-baqa se baDh ke hai zahr-e-fana mujhe
Ghazal
Har haal mein raha jo tera aasra mujhe
Hasrat Mohani