har gumbad-e-be-dar mein bhi ek dar hai ki tu hai
phir mujh mein koi aur nawa-gar hai ki tu hai
ek aur hi aalam hai wara-e-KHas-o-KHashak
ek aur hi manzar pas-e-manzar hai ki tu hai
ta-hadd-e-nazar ek nadi hai ki hun main bhi
ta-hadd-e-KHayal ek samundar hai ki tu hai
paiwast hain miTTi mein mere panw ki main hun
aflak ke sine pe mera sar hai ki tu hai
wahshat ise kahiye na tahayyur ise kahiye
main bhul chala tha mujhe azbar hai ki tu hai
dekhun to tera hona sahaara bhi hai mujh ko
sochon to mujhe ek yahi Dar hai ki tu hai
Ghazal
Har gumbad-e-be-dar mein bhi ek dar hai ki tu hai
muneer saifi