اردو हिंदी
Har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya | Shaahi Shayari
har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya

Ghazal

Har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

har gul us bagh ka nazron mein dahan hai goya
surat-e-ghuncha jo dekhun to zaban hai goya

tak ki tarah sabhi mast paDe ainDen hain
mai-kada ab giraw-e-baada-kashan hai goya

chashm hai turk nigah neza o mizhgan tarkash
zulf-e-pur-pech ka har halqa kaman hai goya

ja bhiData hai hamesha mujhe KHun-KHwaron se
dil baghal-bich mera dushman-e-jaan hai goya

'hatim' ab us ki sabhi munh ki taraf dekhe hain
shisha majlis mein yahan pir-e-mughan hai goya