har gul se har KHar se uljha rahta hai
dil hai apne yar se uljha rahta hai
phul KHafa rahte hain apni shaKHon se
dar apni diwar se uljha rahta hai
meri jawani ka sathi mera aaina
chandi ke har tar se uljha rahta hai
jaane mera shair beTa kyun aksar
dada ki talwar se uljha rahta hai
log to aaKHir log hain un se kya shikwa
isa kyun bimar se uljha rahta hai
murat banti TuTti banti rahti hai
fan apne fankar se uljha rahta hai

Ghazal
Har gul se har Khaar se uljha rahta hai
Saeed Ahmad Akhtar