har gul-e-taza hamare hath par baiat kare
us ki zulfon tak pahunchne ke liye minnat kare
dil bachae ya sarahe aatish-e-ruKHsar ko
jis ka ghar jalta ho wo shoalon ki kya midhat kare
aam ke phulon ko KHud hi jhaD de aur is ke baad
be-samar shaKHon se aawara hawa hujjat kare
shahr walon ko bhi hajat hai anajon ki magar
KHush-libasi mausam-e-barsat par lanat kare
yun bahane se chhupa lun apne ashkon ko magar
aankh ki surKHi dil-e-pur-dard ki ghibat kare
KHun ke do chaar qatre dil mein hain baqi 'zahir'
dashna-e-mizhgan se kah do ek zara zahmat kare
Ghazal
Har gul-e-taza hamare hath par baiat kare
Zaheer Siddiqui