اردو हिंदी
Har gosha-e-alam mein zamane ki sada hun | Shaahi Shayari
har gosha-e-alam mein zamane ki sada hun

Ghazal

Har gosha-e-alam mein zamane ki sada hun

Khvaja riyazuddin atash

;

har gosha-e-alam mein zamane ki sada hun
main waqt pe chalta hua naqsh-e-kaf-e-pa hun

ai dasht-e-taKHayyul teri KHamosh nawa hun
main naqsh-e-haqiqat hun magar KHwab-numa hun

ek aalam-e-duniya hai meri zat ke andar
main aag bhi miTTi bhi hun pani hun hawa hun

do laKHt hua hun main teri jalwagari se
aisi hai chakachaund ki sae se juda hun

din bhar ki 'atash' dhup ko daman mein sameTe
main sham ke suraj ki tarah Dub raha hun